Bulati Hai Magar Jaane Ka Nai Ghazal - Famous Shayari by Dr. Rahat Indori. Here is the Full Poetry with Images both in Hindi and English Font.

Bulati Hai Magar Jaane Ka Nai – Rahat Indori Poetry

Bulati Hai Magar Jaane Ka Nai Poetry English Font

Bulaatee Hai Magar Jane Ka Nahi
Ye Duniya Hai Idhar Jane Ka Nahi

Mere Bete Kisee Se Ishq Kar
Magar Had Se Gujar Jane Ka Nahi

Kushaada zarf hona chahiye
Chhalak jaane ka bhar jaane ka Nai

Sitaaren Noch Kar Le Jaoonga
Main Khaali Haath Ghar Jane Ka Nahi

Vaba Phailee Huee Hai Har Taraf
Abhee Maahaul Mar Jaane Ka Nahi

Vo Gardan Naapata Hai Naap Le
Magar Zaalim Se Dar Jaane Ka Nahi

Shayari By - Dr. Rahat Indori

Bulati Hai Magar Jaane Ka Nai – Rahat Indori Poetry

बुलाती है मगर जाने का नईं Hindi Font

बुलाती है मगर जाने का नहीं
ये दुनिया है इधर जाने का नहीं

मेरे बेटे किसी से इश्क़ कर
मगर हद से गुजर जाने का नहीं

सितारें नोच कर ले जाऊँगा
मैं खाली हाथ घर जाने का नहीं

Bulati Hai Magar Jaane Ka Nai – Rahat Indori Poetry

वबा फैली हुई है हर तरफ
अभी माहौल मर जाने का नहीं

वो गर्दन नापता है नाप ले
मगर जालिम से डर जाने का नहीं

By – राहत इन्दौरी